Sunni view on Isaal E Sawab

Given modern distractions, the need to understand Islam better has never been more urgent. Through this forum we can share ideas and hopefully promote the true spirit of Islam which calls for peace, justice, tolerance, inclusiveness and diversity.
HighFlyer
Posts: 62
Joined: Tue Apr 28, 2015 10:38 am

Sunni view on Isaal E Sawab

#1

Unread post by HighFlyer » Sat May 09, 2015 10:57 am

Salam,


Isaal E Sawab Ki Sharai Haisiyat
HUM AHLE SUNNAT WA JAMAAT KA MAUKOOF ISAL E SAWAB (SAWAB BAKSHNA YA PAHUCHANE) K MUTTALIK KYA HAI ??
Isaal e Sawab Kisi Yaani Quran e Mukaddas ki tilawat, Nafli Ibadat, Kalima Sharif, Zikr o Wazaif, Durood o Salam, Ya Nafli Namaz ka Sawab, Ya Badni Ya Maali Ibadat Ka Sawab Dusro ko pahuchana ZAIJ hai aur isiko Isaale E Sawab FATIHA ek aam jaban me kehte hai.
Isaal e Sawab ka bunyaadi tassawur ye hai k Kya kisi zinda shaks k koi amal se jo wo khud kare ya koi jaiz amal par kharch kare uska sawab fautshuda ko ya hayat shaks ko milta hai ya nahi ?
Kya iska saboot Quran aur Hadees e paak se milti hai k kisi zinda shaks se kisi faut shuda ko nafa mile ?
Ya Bas jo amal us marhoomeen ne dunya me rah kr kar diya us amal k aage uske naam e aamal me koi badhotri ho sakti hai ya nahi ?
Yakinan Iska Saboot QURAN AUR HADEES, FIQH AUR AKAID ki kitab me mauzood hai maslan SHARA E HIDAYA aur Akaid e Nasfiya me iska bayan mauzood hai isko biddat aur Nazaiz kahna fakat jahalat aur hatdharmi hai.
Is article me aise hi bahot se aitrajat ka ilmi tehkeeki jawab diye jaayg.
Faut Shuda Guzar Gaye Musalmaano ko sawab pahuchana ALHMADULLILAH QURAN SUNNAT FUKAHA Se saabit hai jiski daleel hum yaha denge jisko padh k aap mutmayeen hojaynge.
Insha Allah
Isal e Sawab karna MUSTAHAB amal hai kiya to sawab nahi karne pe gunaah nahi iska munkir gumraah hai.
Isaal E Sawab k lafzi maa’na hai “SAWAB PAHUCHANA” isko “Sawab Bakshna” bhi kehte hai magar buzurgo k liye Sawab Bakshna kehna Munasib nahi “SAWAB NAZR” karna kahna adab k zyada karib hai.

Imam Ahmad Raza Aala Hazrat رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه
“Huzoor E Akdas ﷺ khwaah Nabi ya Wali ko sawab bakshna kehna Beadabi hai bakshna bade ki taraf se chote ko hota hai balki nazr karna ya hadiya (tohfa) kahen ”
(Fatawa E Razviya vol : 26, Pg : 609)
Pehle k Jamane me FIRKA E Motezala aur ab Firka e WAHABIYA k Nazdeek Esaal e Sawab Fatiha ka koi tassawur nahi hai ek baar insaan faut hua ab wahabi ideology k hisab se wo shaks amal me koi neki nahi aaygi chahe koi isaal e sawab kare ya dunya me wo kuch chode jo kuch ek musalmaan dunya me amal karta raha bas wo amal hi uske kaam ayenge baaki ab koi dusra shaks kuch kare uske naam se Isaal e Sawab kare wo tamam chiz kaam na aaygi ye tassawur hai wahabiat ka Isaal k mutallik aur inme bhi phir jitne so called preachers mullah hai utni baatein kuch kabhi kabhi baaz amal e Isaal k Jaiz kehte hai baaj nazayaz hattha k koi ek paimana hai hi nahi jitne muballig utni baatein.
Aage badhne se kabl ek baar ye HUKM E SHARI jaroor padhle

http://www.786sho.blogspot.in/