Page 1 of 1
Re: Ziyafats
Posted: Fri Jan 16, 2015 2:12 am
by Abuzer
ye paisa bolta hain, ye paisa bolta hain, very correct song.
than than ki suno jhankar
yeh duniya hai kala bazaar
yeh paisa bolta hai - 2
main gol hun duniya gol - 2
jo bolu khol du sab ki pol
yeh paisa bolta hai - 4
rang gora ho ya kala ho
jag uska jo paisa wala ho
ghapale se mile ya rishwat se
banta hai mukaddar daulat se
saccha hai yahan kangal
to beimaan hai malamal
yeh paisa bolta hai - 4
bhagwan ke ghar bhi khot chale
puja ke liye bhi note chale
jo chahe karwalo dhan se
har kam bane donation se
milta hai us hi ko vote
dikhaye jo voter ko note
yeh paisa bolta hai - 4
paiso pe agar main marta hun
batlao bura kya karta hun
jab bajati hai shahnai dhan ki
tab uthti hai doli dulhan ki
main gangu teli ko du raj - 2
gadho ke sir pe rakh du taj
yeh paisa bolta hai - 4
than than ki suno jhankar
yeh duniya hai kala bazaar
yeh paisa bolta hai - 4
https://www.youtube.com/watch?v=0SyDMnBLjiQ
Re: The legacy of Sayedna Mohammed Burhanuddin
Posted: Fri Jan 16, 2015 2:26 am
by Abuzer
jo boyega vahi paayega, tera kiya aage jaayega
what you sow is what you will get
sukh duhkh hai kya phal karmon ka
what is happiness and grief, it is the fruit of your deeds
jaisi karani vaisi bharani
like you have done the work you need to be paid
jo boyega vahi paayega
what you sow is what you will get
sabase badi puuja hai maata pita ki seva
the biggest respect is for your mother and father
kismat vaalon ko hi milata hai ye mauqa
only lucky people get this chance
haath se apane kho mat dena mauqa ye khidamat ka
don't let go this opportunity from your hands
jannat ka dar khul jaayega
the doors of heaven will be open for you
tera kiya aage jaayega
what you do will come with you
chaahe na puuje muurat chaahe na tirath jaaye
whether you worship or not a idol, or whether you visit or not a holy place
maat pita ke tan mein saare dev samaaye
god resides in your father and mother
tu inaka dil khush rakhe to ishvar khush ho jaaye
if you keep them happy then god will be happy
bhagavaan tujhako mil jaayega
you will find god
tera kiya aage jaayega
what you do will come with you
apanon ko jo apani duniya thukaraati hai
if one leaves his/her own people
jaane anajaane mein haay nikal jaati hai
they give you sigh knowingly/unknowingly
haay lage na tujhako, duwa ye maan dekar jaati hai
you should not get a sigh, such a wish one mother is giving you
maan ka dil maaf kar jaayega
the heart of mother will forgive you
tera kiya aage jaayega
what you do will come with you
https://www.youtube.com/watch?v=fLqLL8Ed8dY
Re: Mufaddal Saifuddin (and related topics) - 2015
Posted: Fri Jan 16, 2015 2:30 am
by Abuzer
Dedicated to MS
Ek Din Bik Jayega, Maati Ke Mol
Jag Mein Reh Jayenge Pyare Tere Bol
Dooje Ke Hothon Ko Dekar Apne Geet
Koi Nishani Chhod, Phir Duniya Se Dol
Ek Din...
Anhoni Path Mein Kaante Lakh Bichaaye
Honi To Phir Bhi Bichhda Yaar Milaye
Yeh Birha, Yeh Doori
Do Pal Ki Majboori
Phir Koi Dilwala Kahe Ko Ghabraye
Taram Pam...
Dhara Jo Behti Hai Milke Rehti Hai
Behti Chara Ban Ja Phir Duniya Se Dol
Ek Din...
Parde Ke Peechhe Baithi Saanval Gori
Thaam Ke Tere Mere Man Ki Dori
Yeh Dori Na Chhoote, Yeh Bandhan Na Toote
Bhor Hone Wali Hai Ab Raina Hai Thodi
Taram Pam...
Sar Ko Jhukaye Tu Baitha Kya Hai Yaar
Gori Se Naina Jod Phir Duniya Se Dol
Ek Din...
https://www.youtube.com/watch?v=pGYjHQbV1KE
Khuzema Qutbuddin - song
Posted: Fri Jan 16, 2015 2:35 am
by Abuzer
Dedicated to KQ
Jeena Yahan Marna Yahan, Iske Siva Jaana Kahan
Ji Chahe Jab Humko Awaaz Do
Hum Hain Wahin Hum Thhe Jahan,
Apne Yahin Dono Jahan
Iske Siva Jana Kahan
Jeena Yahan ......
Yeh Mera Geet Jeevan Sangeet
Kal Bhi Koi Dohrayega
Jag Ko Hasane Bahrupiya
Roop Badal Phir Aayega
Swarg Yahin Nark Yahan
Iske Siva Jana Kahan
Jeena Yahan ......
Kal Khel Mein Hum Ho Na Ho
Gardish Mein Taare Rahenge Sada
Bhoolenge Hum Bhoologe Tum
Par Hum Tumhare Rahenge Sada
Rahenge Yahin Apne Nishan
Iske Siva Jana Kahan
Jeena Yahan ...
https://www.youtube.com/watch?v=qNTPsbverXw
Songs
Posted: Fri Jan 16, 2015 2:49 am
by Abuzer
Dedicated to Taizoon
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Kisko sunao haan dil-e-bekaraar ka
Bujhta hua Chirag hon apne mazaar ka
Aye kaash bhool jao magar bhoolta nahi
Kis dhoom se utha tha janaza bahar ka
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Apna pata mile na khabar yaar ki mile
Dushman ko bhi na aesi sajaa pyar ki mile
Unko khuda mile hain khuda ki kinhe talaash
Mujhko bas ek jhalak mere dildar ki mile
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Sehera mein aake bhi mujh ko thikana na mila
Ghumko bhulane ka koi bahana na mila
Dil tarse jismein pyar ko kya samjho us sansar ko
Ek jeeti baazi har ke main dhoondu bichade yaar ko
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Door nigahon se aansun bahata hain koi
Kaise na jao main mujhko bulata hain koi
Ya tote dil ko jod do ya saare bandhan tod de
Aye parbat rasta aye kaaton daman chod do
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
https://www.youtube.com/watch?v=SuFIMnqb6H4