Entertainment
Entertainment
This site is engaged in a lot of bitching about each oter. Why not have some jokes, etc on the site. Life is more than complaining and criticizing. It make life miserable. Follow what ever you want to, enjoy life, and stop poking your nose into others faith and practices.
To start with I am writing the first part of a verse and looking for someone to complete it...
Falak par sitaro ko neend aa rahee hai....
Share jokes and do not bitch about things !!!

Re: Entertainment

Zamee'n par bohro'n ke jaa'n ja rahee hai

Sona mat sitaro
Maatamse fursat agar jo mili
To aa jaayenge aapke dilon ko bahelaane
Aqa ki mithi loriya sunaane

sitaaro tum abhi na sona
hame abhi zaar zaar hai rona
karna hai jo masulla ye gila
na puchcho ye zulm hai kaisa
bas dekhte raho dai ki ye leela

Zamee'n par bohro'n ki jaa'n ja rahee hai

-
- Posts: 924
- Joined: Wed Nov 12, 2003 5:01 am
Re: Entertainment
Would love a translation of the above !
Re: Entertainment
Zamee'n par bohro'n ki jaa'n ja rahee hai
Jaan apne aqa ke naam ja rahee hai
dil bhi aqa ke naam hai
par aqa ko to sirf jeb se kaam hai
Jaan apne aqa ke naam ja rahee hai
dil bhi aqa ke naam hai
par aqa ko to sirf jeb se kaam hai
Re: Entertainment
matam ye misaq ye raza ye ziyafat
ye mazahb hai kaisa, kaisi hai ye aafat
dekhe'n hai hamne kayi chor uchchkke
in safed poshak walo'n sa dekha na koi
bhai chalo zara hatke, raho thoda bachke
Falak par sitaro ko neend aa rahee hai....
Zamee'n par bohro'n ki jaa'n ja rahee hai
ye mazahb hai kaisa, kaisi hai ye aafat
dekhe'n hai hamne kayi chor uchchkke
in safed poshak walo'n sa dekha na koi
bhai chalo zara hatke, raho thoda bachke
Falak par sitaro ko neend aa rahee hai....
Zamee'n par bohro'n ki jaa'n ja rahee hai
Re: Entertainment
Bhaiyo. You are again back to bitching and complaining !!!
Ok a new one
Dil-e-Nadan tujhe huwa kya hai..
Muslim First ki Dawa Kya Hai...
Wo Wahabi aur ham hain Bohra...
Us Ka Message Board pey kam kya hai..
Karta hai wo bat diwangi ki...
Ab wo Pakgal ka ilaj kya hai...
Ok a new one
Dil-e-Nadan tujhe huwa kya hai..
Muslim First ki Dawa Kya Hai...
Wo Wahabi aur ham hain Bohra...
Us Ka Message Board pey kam kya hai..
Karta hai wo bat diwangi ki...
Ab wo Pakgal ka ilaj kya hai...
Re: Entertainment
For those NOT Shaairee-inclined:
How Do You Get To Jannat (Paradise)?
"If I sold my house and my car, had a big garage sale, and gave all my money to the Kothar, would that get me into Paradise?" I asked the children in my Madressa class. "NO!" the children all answered.
"If I cleaned the Markaz or Masjid every day, mowed the yard, ploughed snow during winter and kept everything neat and tidy, would that get me into Paradise?" Again the answer was, "NO!"
"Well, then, if I was kind to animals and gave candy to all the children and loved my wife, would that get me into Paradise?" I asked them again. Once more they all answered, "NO!"
"Well," I continued, thinking they were a good bit more theologically sophisticated (Imaani) than I had given them credit for, "then how can I get into Paradise?"
A five-year-old boy shouted out, "You gotta be dead!"

The bohra mosques are markaz (eating center) where you pay a certain amount and eat the whole year round.
It’s like a Mess
Or
The Total Mess?!
Why most of the Amils and Sheikhs are black moneyed, black minded and/or black hearted. Something to do with soot from the mills of Surat!
Just wondering, we have a pack of 52, do we need Jokers?
Why Bohras are called Bohris . Are they are no longer Musal(Man) now!??!.

with infinite apologies to Ghalib...
tere vasile pe jiye ham to ye jaan jhooth aka
ham kabhi ke misaq na le lete ghar aitbar hota
ye masaile safai chiththi ye teri lalach moula
ham tujhe wali samjhte jo na paisa-khor hota

Aap to Topi pinha ke chal diye
Aql per dhakkan laga ke chal diye
Ole girte hain kise jakar kahain
Aap hamara sar mundha kar chal diye
Apni gurbat se nipat lain ge awam
gam se chutkara Yaqinan payenge
Aap ne topi pehna di shukriya
Topi hai tau Heere bhi aa jayen ge.
Mausam-e-barsat ane do zara
log hanste hanste honge laut paut
Bohra topi per lagengi topiyan
Behne pehnengi Rida pe rain-coat.
Aql per dhakkan laga ke chal diye
Ole girte hain kise jakar kahain
Aap hamara sar mundha kar chal diye
Apni gurbat se nipat lain ge awam
gam se chutkara Yaqinan payenge
Aap ne topi pehna di shukriya
Topi hai tau Heere bhi aa jayen ge.
Mausam-e-barsat ane do zara
log hanste hanste honge laut paut
Bohra topi per lagengi topiyan
Behne pehnengi Rida pe rain-coat.
Re: Entertainment
jis din huaa Bohri ke murGe kaa inteqaal
daawat kii Sheikh kii tab aayaa use Khayaal
murdaar murG kii huii Sheikh ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, Gaalib huaa jalaal
kahane lage khilaaoge mam gosht?
tum ko nahii.n zaraa bhii shariyat ka kuchh Khayaal
murdaar Gosht to shariyat me.n hai haraam
jab tak na zibaah kiijiiye, hotaa nahii.n halaal
fatawaa jab apanaa Sheikh saahab sunaa chuke
jhunjhalaa ke Bohri ne kiyaa tab un se ye sawaal
kaisii hai aap kii ye shariyat bataaiiye
ba.nde ko kar diyaa hai Khudaa se bhii baa-kamaal?
allaah jis ko maar de, ho jaaye wo haraam (baraat)*
ba.nde ke haath jo mare, ho jaaye wo halaal?
*ostracized, red-chithi,salaam-bundh,ex-communicated

"kahane lage khilaaoge mam gosht?"
Please read this as:
kahane lage khilaaoge hum ko haram gosht?
then it would be fine and neaningful.
Please read this as:
kahane lage khilaaoge hum ko haram gosht?
then it would be fine and neaningful.
Re: Entertainment
S. Insaf
Thanks for the correction: New, improved and corrected version:
jis din huaa Bohri ke murGe kaa inteqaal
daawat kii Sheikh kii tab aayaa use Khayaal
murdaar murG kii huii Sheikh ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, Gaalib huaa jalaal
kahane lage khilaaoge hum ko haram gosht?
tum ko nahii.n zaraa bhii shariyat ka kuchh Khayaal
murdaar Gosht to shariyat me.n hai haraam
jab tak na zibaah kiijiiye, hotaa nahii.n halaal
fatawaa jab apanaa Sheikh saahab sunaa chuke
jhunjhalaa ke Bohri ne kiyaa tab un se ye sawaal
kaisii hai aap kii ye shariyat bataaiiye
ba.nde ko kar diyaa hai Khudaa se bhii baa-kamaal?
allaah jis ko maar de, ho jaaye wo haraam (baraat)*
ba.nde ke haath jo mare, ho jaaye wo halaal?
*ostracized, red-chithi,salaam-bundh,ex-communicated
Thanks for the correction: New, improved and corrected version:
jis din huaa Bohri ke murGe kaa inteqaal
daawat kii Sheikh kii tab aayaa use Khayaal
murdaar murG kii huii Sheikh ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, Gaalib huaa jalaal
kahane lage khilaaoge hum ko haram gosht?
tum ko nahii.n zaraa bhii shariyat ka kuchh Khayaal
murdaar Gosht to shariyat me.n hai haraam
jab tak na zibaah kiijiiye, hotaa nahii.n halaal
fatawaa jab apanaa Sheikh saahab sunaa chuke
jhunjhalaa ke Bohri ne kiyaa tab un se ye sawaal
kaisii hai aap kii ye shariyat bataaiiye
ba.nde ko kar diyaa hai Khudaa se bhii baa-kamaal?
allaah jis ko maar de, ho jaaye wo haraam (baraat)*
ba.nde ke haath jo mare, ho jaaye wo halaal?
*ostracized, red-chithi,salaam-bundh,ex-communicated
Re: Entertainment
School ki College ki ye kiyon' darde-sari le,
Mulla ko mazaron' hii mein' aaraam bahut hai.
Hai iski dukan' Shehr mein har ek se Un'chi,
Murde bhi yahan' bikte hain' per daam bahut hai.
Mazhab ki tijarat mein' hai Mulla ko maharat,
Tajir tau ye achcha hai per badnaam bahut hai.
.............................................
Be fikr Ehle-Quom hain', Mulla khumar mein',
Kisko padi hai Aalame na-payedar mein'.
Tankha udhar maang ke laya thaa Seth se,
Mulla ne jeb kaat lee Saifee mazar mein'.
Ilmo-Adab se, deeno-Vatan se kiya vasta?
Bohri hoon' aur rehta hoon' Bhindi Bazar mein'.
Ghar mein jawan beti hai, khaufe-Baraat hai,
Haaton' ko jode baap khada hai qatar mein'.
Kitna hai badnaseeb ye Bohra ke bade-marg,
Do gaz zameen' naa muft mile kooye-yar mein'.
(Do gaz zameen' naa muft mile kabrastan mein').
...........................................

This is good stuff Insaf bhai.
Re: Entertainment
Rukta hai Nikah, pit-ta hai lasha mere aage,
Hota hai shabo-roz tamasha mere aage.
Ek maslaye dushwar hai Sajda mere aage,
Mulla mere peechhe hai Allah mere aage.
Mulla ko khuda kehta hoon' Allah tere aage,
Gunda mere peechhe hai ek gunda mere aage.
jee chahta hai Mulla se koyee rabt na rakkhoon',
Hai apni jawan' beti ka rishta mere aage.
Muflis hoon' ada kaise karoon' Qabr ki keemat,
Rakkha hai meri maa ka janaza mere aage.
Naa haaton' mein' jumbish hai naa tangon' hee mein dam hai,
Phir bhi kiya Akadta hai ye Mulla mere aage.
Hota hai guman' khud pe masiha-e-Zaman' ka,
her waqt hai iss jan ka khatra mere aage.
Insaf mujhe quwate-bazoo pe yaqeen' hai,
Iss zulm ka uththega janaza mere aage.

- Posts: 443
- Joined: Sun Aug 19, 2001 4:01 am
Re: Entertainment
Wah! WAh! Insafbhai- Kya Baat HAi!! Kitni Sachhi Kahani hai-!!!
Re: Entertainment
Few Qa'aat:
Khuda hune ka dawa bhi kiya hai,
Aur uss per ye Qayamat kar raha hai,
Ibadat mein laga hai Rehbare-Quom,
Khuda kis ki Ibadat kar raha hai?
....................................
Karo Maula bas ab mushkil-kushayee!
Sab Ahle-quom ye chilla rahe hain'
Jawab unko ye milta ke "thero
abhi aaten' hain' Ziyafat kha rahe hain'
....................................
"Mujh ko 'Saitan'kaha woh bhi bhari Mehfil mein",
Peshwa kehta hai "tumne ye galat kam kiya",
Badee mushkil hai ke Shaitan bhi kehta yahi,
"Shashi Bhushan ne mere nan ko badnam kiya".
...........................................
Mazare-Tahera ke kharch se bezar hokar aaj,
Suna hai ek Bohra ne Khuda to Tar* dala hai,
Mere maujuda Rehbar ko salamat rakh Qayamat tak,
Ke ek roze ke kharche ne hi humko mar dala hai.
(*Tar = telegram)
..........................................

Insaf bhai I'm really enjoying your shairi. It is humorous and at times touching. It's a good thing that you are maintaining a certain standard and not stooping to crass vulgarity. Keep it up.
Re: Entertainment
Dil hi tau hai na sang-0-khast, dard se har na aaye kiyon'
Zalim kahain' hazar bar, woh itna tilmilaye kiyon'.
Zulm aur uspe buzdili, Zalim ko chahiye bhi kiya!
Khud per na Aitimad hau, Mulla na loot khaye kiyoon'.
Badhta hai uska izzo-naz, hota apna satiyanas,
Izzat aziz hau jise, ghar pe use bulaye kiyon'.
haan' woh khuda-parast nahin', hum bhi tau kuchch durast nahi,
Jis ko hau jao-deen' aziz uski gali mein jaye kiyon'.
Hum se kahe ke rassi tum apne khuda ki tham lo,
Theli pakad ke Muftiji Mulla ke peechhe jaye kiyon'.
Aamile-fitna ke bagair kaun'se kam band hain',
Usko bhaga ke khush hain' hum, shehar mein ab woh aaye kiyon'.

wah wah wah... mukarar irshad
Re: Entertainment
Dear Friends,
There is some typing mistake. Please correct as follows and read. Thanks
Dil hi tau hai na sang-0-khast, dard se har na aaye kiyon'
Dil hi tau hai na sang-0-khast, dard se bhar na aaye kiyon'
Badhta hai uska izzo-naz, hota apna satiyanas,
Badhta hai uska izzo-naz, hota hai apna satiyanas,
Jis ko hau jao-deen' aziz uski gali mein jaye kiyon'.
Jis ko hau jano-deen' aziz uski gali mein jaye kiyon'.

Aqamoula ki suno, who tumhari sunege
Tum ek lakh donge, who dus lat ((Kadam(bosi)) denge
Tum ek lakh donge, who dus lat ((Kadam(bosi)) denge
Re: Entertainment
Luta mat apni poon'ji ko, agar Mulla teraa chahe,
ke Bohra khaak aur Mulla gule-gulzar hota hai.
Munazzam kar jamaa'at ko, ke her scheme se phehle,
khud he Aamil tujhe pooche, bata teri raza kiya hai?
ke Bohra khaak aur Mulla gule-gulzar hota hai.
Munazzam kar jamaa'at ko, ke her scheme se phehle,
khud he Aamil tujhe pooche, bata teri raza kiya hai?
Re: Entertainment
Ulti ho gayee sab tarkeeben', kuchh na riyaa ne kam kiyaa
Merchantile Bank ne dekha, aur tujhe badnam kiyaa
Char shaadiyaan' chhattis bachche, Mulla ne ye kam kiya,
Daulat lootee, Zulm guzare, Qabr mein' ja aaram kiyaa.
Nahaq ye hum Bohron' per ek tohmat kufro-shirk ki hai,
Mulla sara shirk kare hai humko abas badnam kiyaa.
Jitnee thee iman ki keemat, us se ziyaada mal mila,
ye na sumjho Muftiji ne muft mein' tark Islam keeya.
Kaun bhala Insaf se badh kar Mullaji ko mane hai,
jis ne apne sare gunahon' ko bhi uske naam keeya.

Biwiyan' bewa ho gayeen', Shahzade ho gayai yateem,
Inko dikha raah ek, Rehbare-Quom mar gayaa.
Betul-mal haq jo tha bewaoon' ka yatim ka,
Jaan pe apni khel ke, haqdar inko kar gayaa.
Inko dikha raah ek, Rehbare-Quom mar gayaa.
Betul-mal haq jo tha bewaoon' ka yatim ka,
Jaan pe apni khel ke, haqdar inko kar gayaa.
Re: Entertainment
our ladies with tight t shirt and denim for jogging in the morning.
wear burqa whernerver the go for bora religous/social gethering.
in the night, in the night clubs with dico clothes and with their boy friends.
what type religion is it? Can this TUK do something on this? You see many Kothar girls are going astrayand corrupting others also !!!

This is old...
but Gold
Do(two) Mithai, Do(two) Kharas
Or(and) bohra peen Khalas (gone)

but Gold

Do(two) Mithai, Do(two) Kharas
Or(and) bohra peen Khalas (gone)